Showing posts with label Qari Waheed Zafar Qasmi. Show all posts
Showing posts with label Qari Waheed Zafar Qasmi. Show all posts

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar (Naat) |Qari Waheed Zafar Qasmi




You can hear this mp3 Naat online and download mp3 by this button.

Download Naat Mp3

Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar Lyrics


Faslon ko takalluf hai hum se agar
Ham bhi bebas nahin, besahara nahin
Khud unhin ko pukarenge hum dur se,

Raaste mein agar paun thak jaaenge
Jaise hi sabz gumbad nazar aaega
Bandagi ka qarina badal jaaega
Sar jhukane ki fursat milegi kise
Khud hi aankhon se sajde tapak jaaenge
Hum madine mein tanha nikal jaaenge
Aur galiyon mein qasdan bhatak jaaenge
Hum vahaan jaake vaapas nahin aaenge
Dhundte dhundte log thak jaaenge
Naam unka jahaan bhi liya jaaega
Zikr unka jahaan bhi kiya jaaege
Nur hi nur sinon mein bhar jaaega
Saari mehfil mein jalve lapak jaaenge
Ae madine ke zaair khuda ke liye
Dastaan-e-safar mujh ko yun mat suna
Dil tadap jaaega. Baat badh jaaegi
Mere mohtat aansu chhalak jaaenge
Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shawq-e-safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili
Hum bhi aaqa ke durbar tak jaaenge

Allah Hu Allah Hu Allah (Hamd) |Qari Waheed Zafar Qasmi




You can hear this mp3 hamd online and download mp3 by this button.

Download Naat Mp3

Allah Hu Allah Hu Allah (Hamd) Lyrics

As sub hu bada min tal’ati hii
W- al- laylu dajaa minv wafrati hee
Hai noor-e-sahar chehre say tere
Aur shab ki raunak Zulfoon say.
Allahu Allahu Allahu Allah
Allahu Allahu Allahu Allah.
Kanz-ul-karami mowl-an-ni’ amii
Haad-il-umami li shari’ati hii.
Ni’mat Ka khazina hain Mawla
Ganjina-yi rehmat ke hai Aqaa
Hadi hai tammam-i ummat ke
Aur rahnuma hai shari’at kay.
Allahu Allahu Allahu Allah
Allahu Allahu Allahu Allah
Sa’at-ish-shajaruu nataq-al-hajaruu
Shaqq-al-qamaruu bi ishaaratihii
Ungli ke ishare pair (trees) chale
Eijaz se pathar bol uthe
Aur chand huwa hai dhoo tukre
Angusht ke aik ishare se.

Allahu Allahu Allahu Allah
Allahu Allahu Allahu Allah
Jibrilu ataa laylata asraa
W-ar-rabbu da’aa fii hadrati hii
Jibril-i Amin paigham-i khuda
Lekar aye thay shab-i asra’
Allah hane Arsh pay bulvayaa
Kurbat ka sharaf unko bakhsha.
Allahu Allahu Allahu Allah
Allahu Allahu Allahu Allah
Fa Muhammaduna huwa Sayiduna
Fal iszulana li ijaabetihi
So Mohammad hai apne aqaa
Isi naam se apni izzo baqaa.
Allahu Allahu Allahu Allah
Allahu Allahu Allahu Allah
As – Subhu badaa min tal’ati hii
W- al- laylu dajaa minv wafrati hee
Hai noor – e- sahar chehre se teray
Aur shab ki raunak Zulfoon se.
Allahu Allahu Allahu Allah
Allahu Allahu Allahu Allah